Asianforum.co.uk
Home | Profile | Register | Active Topics | Members | Search | FAQ
Username:
Password:
Save Password
Forgot your Password?

 All Forums
 General
 Language Classes
 Sarah teaches Urdu
 New Topic  Reply to Topic
 Printer Friendly
Previous Page | Next Page
Author  Topic 
Page: of 17

sarah
Junior Asian

United Kingdom
388 Posts

Posted - 14 Apr 2004 :  22:36:47    
shukhriya kis baat ki? hum toh aap ki urdu sey bohat khush hai kiyoon key aaj kal key loog urdu paar na nahin chatein?

silentsinner
Junior Asian

Bangladesh
354 Posts

Posted - 15 Apr 2004 :  20:20:34      

ROTFLMAO (Roll on the floor laughin my ass off) .. how do u say tht in Urdu ?

ClueLeSs
Junior Asian

United Kingdom
107 Posts

Posted - 16 Apr 2004 :  02:59:55    
hmmm rotfl.....wudnt even attempt that! mein tori si urdu bhol sakti hu lekin...i get confused between hindi and urdu :-s.....koi mujhe mazat kar sakti ho? (lmao if i got that wrong..im allowed im the clueless one!)if im wrong cn someone plz correct me

sarah
Junior Asian

United Kingdom
388 Posts

Posted - 16 Apr 2004 :  18:15:51    
quote:
Originally posted by ClueLeSs

hmmm rotfl.....wudnt even attempt that! mein tori si urdu bhol sakti hu lekin...i get confused between hindi and urdu :-s.....koi mujhe mazat kar sakti ho? (lmao if i got that wrong..im allowed im the clueless one!)if im wrong cn someone plz correct me


dont be clueless!! dats y we here 4
its not mazat its madat!!
hum saab ki madat kar sak teh hai!!

Bachelor
Asian Baby

Pakistan
43 Posts

Posted - 17 Apr 2004 :  06:06:01      
Yahan itni saari urdu parh kar khushi hui. Khushi aap se maa'zarat ke aap ka naam istimal karna para lekin is ke siwa koi chaara nahin tha.

Waise to sab log hi ta'aleem ke husool mein mashghool lagte hain, magar aap sab mein se koi naukri waghaira bhi karta hai ? Mujhe ta'aleem khatam kiye huay kuch arsa guzar chuka hai aur ab to burhaapay ki taraf zindagi gaamzan hai.

Naukri chal rahi hai. Aik ajnabi shahar mein aaya hoon. Aaj kal akela hoon. Waise kuch masroofiat barhaane ki koshish jaari hai. Shaam mein kaam se nikal kar warzish karne chala jaata hoon uske baad swimming. Ghar puhanch kar buhat achi neend aati hai.

Subha paanch baje uthna parta hai. Zindagi mein kaafi mushkilat hoti hain aur ye bhi un mein se aik hai, khususan mere liye jiski aadatein kharab ho. Aksar ghar nau baje puhanchta hoon aur seedha bistar ka raasta leta hoon.

Mere khayal se urdu likhne ki itni "khushi" hui ke kuch ziyada hi likh gaya.

Ummeed ke aap sab log khairiat se honge aur kamyaabi aap sab ke kadam choomay gee.

silentsinner
Junior Asian

Bangladesh
354 Posts

Posted - 17 Apr 2004 :  14:06:46      

ROTFLMAO ? Bachelor, can u translate tht ? It seem sarah cant, haha.

"I jumped in the river and what did I see? Black-eyed angels swam with me ....."

sarah
Junior Asian

United Kingdom
388 Posts

Posted - 17 Apr 2004 :  18:22:00    
silentsinner he was just tellling us dat he was pleased to c so many ppl who know urdu and he told us wat he doseg swimming exercise!

sonia
Asian Baby

United Kingdom
34 Posts

Posted - 18 Apr 2004 :  01:37:38      
LoL @ aBZ...I Came back 4rm pakiland oops, i mean Pakistan last month, thank Gaaawd Shukar Hai Allah Ka my Urdu is Much Much better Now.

~*!¡!¤ > U Ðónt Knów Whát U'v Gót †i|| i†§ GóÑ€...--> ~*!¡!¤

ClueLeSs
Junior Asian

United Kingdom
107 Posts

Posted - 18 Apr 2004 :  02:14:05    
thanx for the correction.....im gonna stop attempting to talk urdu any further just incase i make a prat of myself!!!

ClueLeSs
Junior Asian

United Kingdom
107 Posts

Posted - 20 Apr 2004 :  03:16:08    
and btw sitaaro ki bharaat???? wot does that mean does it mean wedding of the stars or summink lyk that..herad this song n that line intrigued me!so anyone know what it means clueless here is clueless

Bachelor
Asian Baby

Pakistan
43 Posts

Posted - 20 Apr 2004 :  07:30:36      
A line of stars or many stars, thats what it means clueless. And well would u like to share the complete song or atleast another few lines.

Bachelor
Asian Baby

Pakistan
43 Posts

Posted - 20 Apr 2004 :  07:33:40      
Mere aziz doston, kya haal ahwaal hain aap logon ke. Lagta hai ke aap sab ne yahan aana chor diya hai. Kya yeh durust hai, kyon ke mein yahan akela agar hoon, to mein bhi kuch aur kahin aur baat karoon.

Aik shair ke saath ye paigham khatam karta hoon

Woh bewafa hi sahi, chalo ke unka zikar karein
Abhi to umar pari hai, unhein bhulaane mein

sarah
Junior Asian

United Kingdom
388 Posts

Posted - 20 Apr 2004 :  19:20:06    
wah wah kya shair tah!!! mere dost aap akelein nahin hai hum hain nah!!!
aap ko aur shair malom hai?agar hai to humain bi batataein nah!!

Bachelor
Asian Baby

Pakistan
43 Posts

Posted - 21 Apr 2004 :  04:23:42      
Nishaat ki chand kaliyan chun kar, mudatton mehav-e-yaas rehta hoon
Tujh se milna khushi ki baat sahi, tujh se mil kar udaas rehta hoon

Bachelor
Asian Baby

Pakistan
43 Posts

Posted - 21 Apr 2004 :  04:27:52      
Unke dekhe se jo aa jaati hai poon par rounak
Woh samajhte hain ke beemar ka haal acha hai

Hum ko maa'loom hai jannat ki haqeeqat lekin
Dil ke khush rakhne ko, Ghalib ye khayal acha hai

sarah
Junior Asian

United Kingdom
388 Posts

Posted - 23 Apr 2004 :  17:26:26    
aap key shair paar key bohat khushi hui.
aap ney shair kahan sey paarey hai?
kya aap hud ye shair liktey hai?

Bachelor
Asian Baby

Pakistan
43 Posts

Posted - 24 Apr 2004 :  08:30:47      
Kash mein bhi kuch shairee kar sakta. Nahin janab yeh qatan meri shairee nahin hai. Ye ashaar mein ne mukhtalif shaairon ki kitabon mein parhe hain.

Sahir Ludhianvi aur Mirza Ghalib ke ashaar thay.

Agar aap naraaz na hon to aik baat poochni thi, aap ki urdu itni achi kaise hai ? Mein to phir bhi Pakistan mein reh raha hoon aur zindagi ka ziyada hissa karachi mein guzara hai, jehan urdu hi boli jaati hai. Aaj kal Lahore mein hoon jahan urdu se ziyada punjabi boli jaati hai.

Kaam mein to koi mushkil nahin hoti hai lekin bazaar mein kaafi mushkilat par jaati hain, aur agar kahin raasta poochna ho to aik kamaal ka mazaaq ban jaata hai.

Mujhe khushi hai ke ye ashaar aap ko pasand aaye. Waise agar aap ko khoobsurat ashaar sunein ka shouq hai to aap 70s or 80s ke hindi filmon ke gaane suniye. Un mein se aksar ki shairee buhat khoobsurat hai.

aah ko chahiye aik umar asar hone tak
kaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak
Ghalib

sarah
Junior Asian

United Kingdom
388 Posts

Posted - 24 Apr 2004 :  14:17:25    
Mein ney urdu apney waldein sey siki ti! hum hai to mirpur key kekin hum urdu ki zumban boltey hai.
aap ney farmaya tah key lahore mein punjabi boli jah ti hai, i sbrey mein aap ko to zurur mushklat hui ho gi! jab main pakistan ki ti mujhey bi hui lekin adat si paar gi ti!!!
mujeh sahiry bohat pasand ah ti hai
Ek shair suno,
Badi ghaur se suno,
Mujhe nahi aata,
Kisi aur se suno...

mia2004
Asian Baby

5 Posts

Posted - 25 Apr 2004 :  11:56:54    
Sarah, I think you're Urdu is great. I don't know that much urdu, just a little bit. I can easily understand the urdu, but don't have any real confidence to speak it..i don't get any practice at home either, which is a real shame. I learning loads though, so thankyou.

sarah
Junior Asian

United Kingdom
388 Posts

Posted - 25 Apr 2004 :  18:49:38    
thnx mia by de way i love ur name!
if u really like de lang den u can get help from us!!!!
Page: of 17
 Topic   
Previous Page | Next Page
 New Topic  Reply to Topic
 Printer Friendly
Jump To:
Asianforum.co.uk © AsianForum
This page was made by an Asian in 0.38 seconds. Snitz Forums 2000